Masoom Pari
- Srikari Pasumarthy
- Jul 5, 2016
- 1 min read
Ek ladki thi badi saayani
Honi thi jald uski bidaai
Sapno mein apne khogayithi
Saajan ke pyaar mein jhoom rahithi
Khwabon mein usse jeene do
Khushiyon mein usse khonedo
Mat kheecho usko andhere mein
Anyay ye anyay ye anyay ye anyay (x2)
Aaya andheri bhari vo din
Jab uski kismat badalgayi
Sapna Apna poora karne
Chalbasi voh Masoom Pari
Sapna pura karne do
Khusiyon ko usase math cheeno
Mat kheecho usko andhere mein
Anyay ye anyay ye anyay ye anyay (x2)
Bad Kismat uspar aapadi
Bhagwan bhi usko chod gaya
Aaya badsurat Bhayankar
Rakshas ne use badnam kiye
Badha mein voh chillayi
Izzat ko naa bachapayi
Kaise andhar se tut gayi
Anyay ye anyay ye anyay ye anyay (x2)
Itna hone ke baad bhi
Bahadur voh Himaat rakhi
Badha seheneke saath saath
Anyay ko bhi voh sehen sakhi
Duaye us tak pohonch ne do
Zindagi use vapas dhe do
Mat kheecho usko andhere mein
Anyay ye anyay ye anyay ye anyay (x2)
Pura Bharat sansar apni beti ko bachane doobgaye
Lekin Bhagwan suntha kahaan
Masoom Pari ko le gaya
Aasoon bhare un aakhonko
Jawab tum kaise dhoge
Anyay ko tum suli chadhao
Anyay ye anyay ye anyay ye anyay(x2)
Comentarios